Saturday, July 24, 2010

Google

Meri behna

Raat ko kuswapn dekhkar,
Darr jaati hai woh,
Mujhse baat karne ke liye,
machal jaati hai woh,
Meri aawaaz kya sunti hai,
Duniya jahaan paati hai woh,
Lori sunakar sulati hun,
Aur so jaati hai woh,
Sapnon ki haseen duniya mein,
Phir kho jaati hai woh,

Usko kya pata,
Mujhe kya de jaati hai woh!!!!





Maa ka janmdin-Basant panchami ke din

peela rang,

Damakte hue sooraj ki yaad karaata hai,

aur dheere-dheere meri Maa se jaakar mil jaata hai!

Peela rang,

Ek nayi subah ki shuruaat karaata hai,

aur meri Maa ke bheetar ki adbhut chetna ko jagaata hai!

Peela rang,

Inn sard hawaon se raahat dene wala agni-swaroop hai,

aur meri Maa ki godh, jo basant ki dhoop hai!

Peela rang,

Indradhanush ke saat rangon ko sampoorn banaata hai,

aur meri Maa ke satrangi chayya ki yaad dilaata hai!

Peela rang-

bahut khaas hai,

basant panchami ka aagaaz hai,

aapki beti hone ka Maa,

Mujhe garv hai, ek sukhadh ehsaas hai................... :)

Mera mann-aur ye badal

Mera mann-

jaise iss sheher ke badal,

Udne ke liye betaab!

Ghir ghir ke ye baadal,

aksar ghutan paida karte hain,

par sahi dabaav na paakar,

yuhin chatt jaya karte hain!

Baraste hain-

kabhi-kabhi;

magar rahat nahi de paate,

kyunki,

unme ghutan itni hoti hai,

ki,

baraskar bhi, lambe samay tak,

vaayu sheetal nahi kar paate!

Woh bhi taraste honge,

mere mann ki tarah,

ki kab woh bandh darwaze khol,

unchi udaan bharenge........

Mera mann- aur ye baadal!!!