Thursday, August 20, 2009

Ye naya sheher, Woh choote peher

Phir pahunch gayi thi mein,
Ek naye anjaane sheher mein….

Aashankaaon ka dera -
Sawalon ka jamghat -
Hila na sake mere honsle ko,
Mere sambal ne haraya harr duvidha ko…

Phir choda tha maine ghar ko
Maa ka aanchal, pita ka kanhdha
Taiyyar kiya maine mujhko
Banaya avichal- nidar maine khud ko

Phir choda tha yaaron ko
Hansi- tahaka , sukoon -e-mehfil ko
Sabse haseen pal samet liye the maine
Koi cheen nahi sakta, mujhse unn lamhon ko…

Aaj tatolna hai mujhe,
Iss sheher ke har nabz ko
Mehsoos karna hai
Aabo-hawa ki taaseer ko

Kuch pana hai mujhe

Vyarth nahi jane dungi
Mein Apne samarpan ko…

Wednesday, August 19, 2009

Meri Suraksha Kavach

Mujhe yaad hai........
Chutpan mein yuhi gir padana,
Aur maa ka uthana
Gale lagana, puchkaarna
Aur chot ko halke halke sehlana

Aaj unko sahara dena mere bas mein nahi

Mujhe yaad hai........
meraa har choti baat par
jiddh karte katre ro dena
Aur maa ka sirf mujhe hasta hua dekhne ke liye
har mumkin hath poori kar dena

Aaj unki har iccha poori kar pana mere bass mein nahi

Mujhe yaad hai.........
mera bewaqt beemar pad jana
unke sanidhya ke liye ad jana
raat bhar jagti thi meri maa
din poora dawa-daroo mein bita deti

Aaj unki sewa kar pana mere bass mein nahi


Mujhe yaad hai...........

Mera padhai mein yu talleen hona
Aur sirf padhte hi chale jana
Hathon se khilaya karti thi meri maa
Padhai ko khane ki saut na banane deti

Aaj ek waqt ka khana khila pana bhi mere bass mein nahi

Meri Maa ne mujhe pala posa bada kiya
padhaya likhaya, jeena sikhaya
Mujhe mere pairo par khada hona khilaya

Khadi hun aaj mein apne pairo par
magar meri majboori toh dekho.....
Unhe dhero pyar de pana bhi
mere bass mein nahi...